Aaloo aur bhindi ki sabzi

Bhindi aaloo ki sabzi
 Aaloo aur bhindi ki sabzi

 Hello friends,

Aaz Mai aap sab k saath ek Alag aur jhat se banne Wali recipe share karne Jaa rahi hu.jo banana me ekdum aasan aur healthy h.ise aap baccho ko v tiffin me de sakte h.To chaliye suru krte h

Ingredients;

1/2kg-bhindi

2 onion/pyaz

2 green chilly 

1aaloo

1tsp oil

1 tsp red chilli powder

1/4tsp Haldi powder

1tsp aamchur powder 

1 pinch jeers

Cooking step;

Read more



STEP;1

Sabse pahle bhindi ko wash krke ache se poch kr chota size me cut kr le.aaloo ko v ache se wash kr usko peel kr le.Ab usko v cube shape me chota chota cut kr le.


STEP;2

Ek kadhai ya pan me 1tsp oil garam kare phir usme jeers Dal de.jab jeers chatak jaaye to green chilli aur pyaz add kr  tab tak pakaye jab tk pyaz ka colour change hone lage .


STEP;3

Ab is stage pr hum Aaloo Dal kr 1 minute pakayege phir isme bhindi Dal denge.Ab Aaloo bhindi ko medium  flame pr  5 minute pakayene dhak kr nahi pakana h .ab isme sare masale Daal denge namak av nahi daalna h.

STEP;4

Ab jab sabzi pak jaaye tab namak aur aamchur powder Daal kr ache se milayenge  aur gas band kr de. Humari  sabzi taiyaar h ise aap roti Parathas k saath kha sakte h.

Aasha krti hu aapko meri ye recipe pasand aayi Hogi .ise try jaroor kariye aur apne comment share kijiye. 

Milte h  naye post me nayi recipe k saath.


Thank you .




कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.